Panchang Horoscope Bhakti Ka Marg Festivals
chalisa

Santoshi Mata Chalisa

2 min read

॥ Doha ॥

Bando Santoshi Charan, Riddhi Siddhi Datar ।
Dhyan Dharat Hi Hott Nar, Dukh Sagar Se Paar ॥
Bhaktan Ko Santosh De, Santoshi Tav Nama ।
Kripa Karahu Agdamba, Aab Aaya Tere Dham ॥

॥ Chaupai ॥

Jai Santoshi Maat Anupam । Shanti Daayani Roop Manoram ॥
Sundar Varan Chaturbhuj Rupa । Vaish Manohar Lalit Anupa ॥
Shwetambar Roop Manhaari । Maa! Tumhari Chavi Jag Se Nayari ॥
Divy Swarup Aayat Lochan । Darshan Se Ho Sankat Mochan ॥ 4 ॥
Jai Ganesh Ki Suta Bhavani । Ridhi Sidhi Ki Putri Gyani ॥
Aagam Aagochar Tumhari Maya । Sab Par Karo Kripa Ki Chaya ॥
Naam Aanek Tumharo Mata । Aakhil Vishv Hai Tumko Dhayata ॥
Tumne Roop Aaneko Dhare । Ko Kahi Sake Charitra Tumhare ॥ 8 ॥

Dham Aanek Kahan Tak Kahiye । Sumiran Tab Karke Sukh Lehiye ॥
Vindiyachal Mai Vindiyavasini । Koteshwar Saraswati Suhasini ॥
Kalkate Mai Tu Hi Kali । Dusht Nashini Mahakarali ॥
Samhal Pur Bahuchara Kahati । Bhaktjano Ka Dukh Mitati ॥ 12 ॥
Jwala Ji Mai Jwala Devi । Pujat Nitay Bhakt Jan Savi ॥
Nagar Bambai Ki Maharani । Maha Lakshmi Tum Kalyani ॥
Madura Mai Meenakshi Tum Ho । Sukh-dukh Sabki Sakshi Tum Ho ॥
Rajnagar Mai Tum Jagdambay । Banee Bhradkali Tum Ambe ॥ 16 ॥

Pavagadh Mai Durga Mata । Akhil Vishav Tera Yash Gatta ॥
Kashi Puradhishwari Mata । Aaanpurna Naam Suhata ॥
Sarwanand Karo Kaliyani । Tumhi Sharda Amrit Vani ॥
Tumhari Mahima Jal Mai Thal Mai । Dukh Darid Sab Meto Pal Mai ॥ 20 ॥
Jete Risiwar Aur Munisha । Narad Dev Aur Devesha ॥
Es Jagati Ke Nar Aur Nari । Dhayan Dharat Hai Maat Tumhari ॥
Japar Kripa Tumhari Hoti । Veh Patta Bhakti Ka Moti ॥
Dukh Darid Sankat Mit Jata । Dhayan Tumhara Jo Jan Dhayata ॥ 24 ॥

Jo Jan Tumhari Mahima Gave । Dhayan Tumhara Kar Such Pave ॥
Jo Maan Rakhe Sudh Bhavana । Taki Puran Karo Kamna ॥
Kumti Nivari Sumati Ki Datri । Jayati Jayati Mata Jagdhatri ॥
Sukarwar Ka Diwas Suhavan । Jo Vart Kare Tumhara Paven ॥ 28 ॥
Guud Chole Ka Bhog Lagave । Katha Tumhari Sune Sunnave ॥
Vidhivat Puja Kare Tumhari । Phir Prasad Pave Subhkari ॥
Shakti Samrath Ho Jo Dhan Ko । Dan Dakshina De Vipran Ko ॥
Ve Jagti Ke Nar Aur Nari । Maanvanchit Phal Pave Bhari ॥ 32 ॥

Jo Jan Sharan Tumhari Jave । so Nishchaye Bhav Se Tar Jave ॥
Tumharo Dyan Kumari Dhayave । Nishchaye Maanvanchit Var Pave ॥
Sadhva Pooja Kare Tuhari । Amar Suhagin Ho Wo Nari ॥
Vidhva Dhar Ke Dhyan Tumhara । Bhavsagar Se Utre Para ॥ 36 ॥
Jayati Jayati Jai Sankat Harni । Vidhan Vinashan Mangal Karni ॥
Hum Par Sankat Hai Aati Bhari । Vegi Khabar Lo Maat Hamari ॥
Nishidin Dhayan Tumharo Dhayta । Dehi Bhakti Var Hum Ko Mata ॥
Yeh Chalisa Jo Nit Gave । so Bhavsagar Se Tar Jave ॥ 40 ॥