Sita Virajit Mithila Dham, Sab Mil Kar Karen Aarti
Sang Sushobhit Lachuman Ram, Sab Mil Kar Karen Aarti ॥
Vipda Vinashini Sukhda Charachar
Sita Dhiya Bani Aayin Sunaina Ghar
Mithila Ke Mahima Mahan, Sab Mil Kar Karen Aarti ॥
Sita Sarveshwari Mamta Sarovar
Bayan Kamal Kar, Dayan Abhay Var
Saumya Sakal Gundham, Sab Mil Kar Karen Aarti ॥
Rampriya Sarvamangaldayini
Sita Sakal Jagati Dukhharini
Karen Sabka Kalyan, Sab Mil Kar Karen Aarti ॥
Sita Ram Ki Jodi Atibhavan
Naihar Sasur Kiya Pavan
Sevak Hain Hanuman, Sab Mil Kar Karen Aarti ॥
Mamtamayi Mata Sita Punita
Santan Hetu Sita Sada Sunita
Dharani Suta Sab Tham, Sab Mil Kar Karen Aarti ॥
Shukla Navami Tithi Vaishakh Mase
Chandramani Sita Utsav Hulase
Pay Sakal Sukhdham, Sab Mil Kar Karen Aarti ॥
Sita Virajit Mithila Dham, Sab Mil Kar Karen Aarti ॥
Sita Ji Ki Aarti | Sita Virajit Mithila Dham
See our full disclaimer and regional notices.