Panchang Horoscope Bhakti Ka Marg Festivals
bhajan

Lord Khatu Shyam - Apna Bana Lo Shyam

2 min read
Mujhe Apna Bana Lo Shyam
Betee Kah Bula Lo Shyam
Main Teri Hu Bata De Tu, Gale Phir Se Laga Le Tu
Mujhe Apna Bana Lo Shyam…….
O Shyam , Mere Shyam , O Shyam , Mere Shyam – 2

Tere Darshan Ko Saanvariya , Meri Palkein Tarasti Hai – 2
Teri Yaadon Ke Aangan Mein , Kitna Ye Barasti Hai
Aakar Pyaas Bujha Dena , Godi Mein Sula Lena -2
Main Teri Hu Bata De Tu , Gale Phir Se Laga Le Tu
O Shyam , Mere Shyam , O Shyam , Mere Shyam – 2

Mere Man Ke Mandir Mein , Basi Teri Hi Moorti Hai -2
Duniya Ke Nazaron Se Wo Lagti Khubsoorat Hai
Teri Seva Mera Jeevan , Teri Pooja Mera Arpan -2
Main Teri Hu Bata De Tu , Gale Phir Se Laga Le Tu
O Shyam , Mere Shyam , O Shyam , Mere Shyam – 2

Suna Hai Maine Saanvariya , Tu Haaro Ka Sahara Hai -2
Doob Rahi Meri Kashti , Mila Na Koi Kinaara Hai
Maanjhi Ban Ke Aa Jana , Saahil Se Mila Jana -2
Main Teri Hu Bata De Tu , Gale Phir Se Laga Le Tu
O Shyam , Mere Shyam , O Shyam , Mere Shyam – 2

Gamo Ki Kaali Badri Shyam , Arachoo Ke Sir Mandraaye – 2
Gardishon Ki Aandhi Mein , Hausla Tut Na Jaaye
Sambhalo Tum Mujhe Bhagwan , Thama Do Apna Ab Daaman -2
Main Teri Hu Bata De Tu , Gale Phir Se Laga Le Tu
O Shyam , Mere Shyam , O Shyam , Mere Shyam – 2

Mujhe Apna Bana Lo Shyam
Betee Kah Bula Lo Shyam
Main Teri Hu Bata De Tu , Gale Phir Se Laga Le Tu
Mujhe Apna Bana Lo Shyam
O Shyam , Mere Shyam , O Shyam , Mere Shyam – 3