Aaj Hai Jagrata Maa Ka Maa Ko Mana Lena. Arey Ye Bhaiyaji Jara Taali Baja Lena. Haath Utha Ke Joar Laga Jaykare Laga Lena Arey Ye Behnaji Jara Taali Baja Lena. Milega Jo Mangoge Tumko Nahin Koi Shanka. Saari Duniya Mein Bajta Hai Maa Ka Danka. Maa Ke Dar Pe Jyot Jali Hai Sar Ko Jhuka Lena. Arey Ye Bhaiyaji Jara Taali Baja Lena. Ye Hai Mehra Wali Maa Sab Ko Khilati Hai. Bichhde Hue Sab Ko Maa Pal Mein Milati Hai. Maa Ke Dar Pe Jyot Jali Hai Sar Ko Jhuka Lena. Arey Ye Bhaiyaji Jara Taali Baja Lena. Chintapurni Maa Sabki Chinta Mitati Hai. Haare Hue Sabhi Ko Maa Maa Hi Jitati Hai. Bhakt Sunaye Maa Ki Mahima Tu Sang Mein Ga Lena. Arey Ye Bhaiyaji Jara Taali Baja Lena Aaj Hai Jagrata Maa Ka Maa Ko Mana Lena Arey Ye Bhaiyaji Jara Taali Baja Lena Haath Utha Ke Joar Laga Jaykare Laga Lena Arey Ye Behnaji Jara Taali Baja Lena
Jara Tali Baja Lena
See our full disclaimer and regional notices.