Panchang Horoscope Bhakti Ka Marg Festivals
bhajan

Shri Khatu Shyam | Shyam Ke Deewane

2 min read
Shri Khatu Shyam | Shyam Ke Deewane
Har Taklif Tum Jaanate Ho
Bas Baba Tum Hi Ho Apne
Khuli Aankhon Se Tum Dikhate Ho
Band Aankhon Mein Bhi Tere Sapne

O Raaho Mein Jo Main Bhatak Jaoon To
Bas Tera Naam Hi Yaad Aaye
Kya Lena Duniya Se Usko
Jise Pyaar Shyam Baba Se Ho Jaye

Ho Kab-Kab Tera Baba Main
Deewana Ho Gaya

Shyama Dar Tere Jab Se
Aana Jana Ho Gaya
Shyama Dar Tere Jab Se
Aana Jana Ho Gaya
Aansuon Ka Thikana
Ab Ravana Ho Gaya
Main Deewana Main Deewana
Main Deewana Ho Gaya
Shyama Dar Tere Jab Se
Aana Jana Ho Gaya

Tumne Hi Dekha Keval Yuddh Wo Saara
Krishna Ke Sudarshan Ne Sabko Tha Mara
Tumne Hi Dekha Keval Yuddh Wo Saara
Krishna Ke Sudarshan Ne Sabko Tha Mara

Devi Hardimba Se Liya Tum Gyan
Paanch Pandavon Ka Toda Abhimaan

Dekha Na Maine Kabhi Kahi
Tum Jaisa Koi Balshali
Ehsaan Kaise Chukaun Tumhara Jo
Zindagi Meri Sambhali

Ho Kab-Kab Tera Baba Main
Deewana Ho Gaya

Shyama Dar Tere Jab Se
Aana Jana Ho Gaya
Shyama Dar Tere Jab Se
Aana Jana Ho Gaya
Aansuon Ka Thikana
Ab Ravana Ho Gaya
Main Deewana Main Deewana
Main Deewana Ho Gaya
Shyama Dar Tere Jab Se
Aana Jana Ho Gaya

Mere Aansuon Ka Tum Ho Kinara
Tera Saath Ho To Mujhko
Sab Kuch Gavara
Tera Saath Ho To Mujhko
Sab Kuch Gavara

Tum Sharan Main Hi Rakhna Mujhko Apni
Gar Bhool Bhi Ho Jaye Mujhse

Tum Hi Ho Ek Mera Sahara
Phirna Na Nazar Kabhi Mujhse
Sab Kuch Diya Bin Maange Mujhe
Aur Maangu Bhi Main Kya Tum Se
Dena Bhi Ho To Mujhe Tum Dena
Ke Janmo Ka Saath Ho Tum Se

Ho Kab-Kab Tera Baba Main
Deewana Ho Gaya

Shyama Dar Tere Jab Se
Aana Jana Ho Gaya
Shyama Dar Tere Jab Se
Aana Jana Ho Gaya
Aansuon Ka Thikana
Ab Ravana Ho Gaya
Main Deewana Main Deewana
Main Deewana Ho Gaya
Shyama Dar Tere Jab Se
Aana Jana Ho Gaya